Shahid Afridi Biography
Sourcee(google.com.pk)Shahid Afridi was born on 1st March 1980 in Khyber Agency. He entered the Pakistani cricket team in 1996. Shahid Afridi is the one of the best Cricketer of Pakistani Cricket Team. He is a right handed batsman. Shahid Khan Afridi is also known as Boom Boom Afridi. Shahid Afridi, Saeed Ajmal and Umar Akmal has permission from Pakistan Cricket Board ( PCB ) to play the Austrailian Big Bash T-Twenty. But Shahid Afridi said, i will not come in Big Bash series. I will perform the One Day National T-Twenty tournament on 2nd December. In this page you will read the Shahid Afridi biography and news in Urdu and Roman Urdu.
Pakistani Cricketer Shahid Afridi In Urdu
Shahid Afridi Photo
Shahid Afridi 1st March 1980 ko ( Kohat ) Khyber Agency mein paida hue October 1996 mein cricket mein aae aur boom boom Afridi ke naam se mashoor hue. In ko yeh naam 2005 mein Indian cricketer aur comintater Shastri ne diya. In ko Mushtaq Ahmed ( League Spinner ) ki jagah ke bataur bowler khilaya gaya. Magar 4 October 1996 ko Srilanka ke khilaf 34 balls par 102 score kar ke tez tareen century banane ka world record bana dala. 2011 mein Srilanka ke khilaf khelte huye One day ki 300 Wickets pori ki. One day cricket mein sab se ziyada Six marne ka record bhi unhi ke paas hai. Apni pehli century sirf 16 saal 217 din ki umar mein banane ka record 2007 mein Srilanka ke Bowler Linga ko aik over mein 32 Runs mare, yeh OD cricket ka dosra mehnga tareen over tha.
Cricket ke sirf teesre khiladi hain, jo 5000 runs aur 200 se zaiyd wicket le chuke, dosre do kiladi Jaisurya aur Jack Kallas the. January 2012 ke mutabiq 20/20 ke 45 matches mein 713 runs 54 wicket liye. OD ke 333 matches mein 6893 runs aur 333 wicket, test career mein 26 matches 1683 runs aur 47 wicket liye. 2009 to 2011 tak captain bhi rahe. Is waqt Karachi mein aik arsaa se muqeem hain. 2010 mein Pride of Performance award mila.
Shahid Afridi, Saeed Ajmal aur Umar Akmal ko Pakistan Cricket Board ( PCB ) ne Austrailian Big Bash Twenty20 league mein shirkat ki ijazat de di gaye hai. Pakistan Cricket board ( PCB ) ke tarjuman ka kehna hai ke Daura-e-Bharat ke baiys ibtedah mein teeno players ko injury se bachane ki gharz se ijazat nahi di gai thi. Lekin ab wo Big Bash T-Twenty league khel sakenge. Pakistan Cricket Board ( PCB ) ke mutabiq Indo Pak series ke liye lagae jane wale training camp mein tamam players shamil honge. Big Bash T-Twenty league 7th December se shuru ho rahi hai. All Rounder Shahid Afridi Sydney Thunders, 2nd specialist Saeed Ajmal Adelaide Strikers aur Umar Akmal Sydney Sixers ki Numaiyndegi karenge.
Magar Shahid Khan Afridi ka Big Bash mein shirkat se inkaar. Media se baat karte hue Shahid Afridi ne kaha ke Pakistan in ki pehli tarjeeh hai. Un ka kehna hai ke 2nd December se Karachi mein khele jane wale One day qaumi T-Twenty Cricket Tournament mein hissa lenge.
News For Shahid Afridi Bangladesh
Who will be the winner of ICC World Cup T20? You may get different answers for this question but when you ask in the streets and out side the stadiums of Bangladesh that who is the favorite player? Then you can get only one answer Shahid Afridi. Pakistani team is very popular in Bangladesh and no doubt, Shahid Afridi is the most favorite international player in Bangladesh.
Shahid Afridi Bangladesh Mein Cha Gaye
ICC World T20 ki favorite team kon? Is sawal ka jawab mukhtalif mile ga, lekin agara aap Dhaka ki sarkon aur stadium ke bahar kisi se bhi pochein ge ke favorite khilari kon? To shayad hi koi esa shakhs ho ga jo Shahid Afridi ka naam na le. Bangladesh mein Pakistani team bohat maqbol hai. yahan ke Musalman shaiqeen stadium mein Pakistani team ko support kar rahe hote hain lekin Shahid Afridi ki pasandidgi nasal aur mazhab se bala tar hai. wo bila shuba is waqat Bangladesh mein sab se maqbol ghair mulki cricketer hain. Pakistani team ke donon warm up matches mein shiqeen ki bohat bari tadad mojud thi, phele match mein Shahid Afridi nahi kheele. Har koi un ki fitness mein janna chahata tha aur jab unhein pata chala ke wo dosra warm up match kheel rahe hain to shaiqeen ne bari tadad mein Dhaka se dor waqe Fatahullah ka rukh kiya.
No comments:
Post a Comment